Gheebat Ki Saza | Gheebat Kiya Hai | Gheebat Zina se Bhara Gunnah Hai

Gheebat Ki Saza | Gheebat Kiya Hai | Gheebat Zina se Bhara Gunnah Hai


Gheebat Ki Saza Gheebat Zina se Bhara Gunnah Hai
Image Source-Google | Image by - Taza Fikr
  • Gheebat karna aur bohtan lagana

    Gheebat se murad yeh hai keh apne zindah ya murda musalman bhai ki adum mojudgi mein os ke posheeda ayob ko ( jin ka dusron ke samnay zahir hona usay napasand ho ) os ki burai ke tor par zikar kya jaye, aur agar woh baat os mein mojood nah hoto usay bohtan kehte hain. Maslan, ‘Mujhe Bewaqoof bana raha tha’, ‘Os ki niyat kharab hai’, ‘Drama baaz hai’ waghera.




 https://drive.google.com/uc?export=download&id=1qT2jlWRxEmEcs0o-GVj_ieWACZfbrrlA 
  • Rasool e Akram ﷺ ne daryaft farmaya : “Tumhen maloom hai gheebat kya chez hai?” logon ne arz ki : ”Allah o Rasool ﷺ عزوجل و ko es ka behtar ilm hai.”Irshad farmaya :” Gheebat yeh hai ke tum apne bhai ke bary mein aesi baat kaho jo usay buri lagey.” Kisi ne arz ki :”Agar mery bhai mein woh burai mojud ho to os ko bhi kya gheebat kaha jaye ga ?” Irshad farmaya :” Jo kuch tum kehty ho agar os mein mojood ho jab hi to gheebat hai aur agar tum aisi baat kaho jo os mein mojood nah ho to yeh bohtan hai.” 

  • Gheebat ki mumanat Quran mein

  • Gheebat es qadar bura kaam hai ke usay apne murda bhai ka gosht khanay se tashbeeh di gayi hai, chunacheh Quran Majeed mein Allah Pak ney irshad farmaya : 
  • وَلَا یَغْتَبۡ بَّعْضُکُمۡ بَعْضًا ؕ اَیُحِبُّ اَحَدُکُمْ اَنۡ یَّاۡکُلَ لَحْمَ اَخِیۡہِ مَیۡتًا فَکَرِہۡتُمُوۡہُ ؕ
  • Tarjama e kanz ul Eman : “Aur aik dusray ki gheebat nah karo kya tum mein koi yeh pasand rakhay ga keh apne maray hue bhai ka gosht khaye, to yeh tumhen gawara nah ho ga.”

  • Sabaq

  • Piyary Musalman bhaio! Hum mein se har aik ko chahiye keh wo un ukhrawi pareshaniyon se bachney ke liye gheebat se mukammal parhaiz kary aur Sabiqa zindagi mein ki gayi gheebat ki maffi talabb kary aur agar os shakhs ko gheebat ki khabar ho chuki ho jis ki gheebat ki thi to os se bhi mafi maangna zaruri hai.
  • Allah Pak hamein is hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmaiye. Ameen
  1. 18 Kamon se Roza Makrooh Ho Jata Hai

Post a Comment

0 Comments